suna hoga bohat tum ne
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tumne
kahin lehjay ki barish ka
kahin sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne
yehi mairaaj bakhshi hai
ke main jo lafz likhta hoon
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hoon
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain
teri tehreer ki .....lekin
kabhi koi nahin sunta
mere alfaz ki siski
falak bhi jo hila daalay
mere lafzon main hain shamil
usi taseer ke aansoo
kabhi daikho mere humdam
meri tehreer ke aansoo..!!!
No comments:
Post a Comment