Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya
Jis nay mor k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parda
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya
Wo meray dil kee kitaab tha meri jostojoo ka jawaaz tha
Wo mera maazi-o-haal tha jo chala gaya wo chala gaya
Main taptee dhoop kee khaak tha wo meray sar pay ik dhal tha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya
Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya
Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Tha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya
Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya
Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya
No comments:
Post a Comment