Mar 4, 2012

GHAZALS

Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate' HaiN
YuuN Mohabat MaiN Ye Din Raat Badal Jaate' HaiN

Pyaar To unko Bhi Ham Se hai Magar Jaane' KyuN

Ham KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaate' HaiN

Aarzuu To Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar DooN

Laf'z Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaate' HaiN

Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle' Mohabbat Se HamaiN

Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaate' HaiN

Aik Sa Waq't Mohabbat maiN KahaaN Rehta Hai

Gardish-e-Waq't Se Haalaat Badal Jaate' HaiN


**********************************************************


Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,

Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,

hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,

Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,

Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,

Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,

Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,

Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,

Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,

Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna…….!!!


**********************************************************


Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari,

Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari,

Humay Chahiya Bus Taaluq Tumhara,

Mohabbat Milay Yah Adawat Tumhari,

isi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina,

Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari,

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa,

Bari Munfarid Hay Tabiyat Tumhari,

Humhay Zindagi Kay Kaen Rastoon Par,

Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari.


**********************************************************


Tumhari Woh Mohabatein Tumhari Woh Chatein Yaad Aati Hein

Tumhari Woh Wadey Tumhari Woh  Qasmein Yaad  Aati Hein

Mein  Jab Bhi Dekhta Hoon Tanhai Mein Tumhari Tasveerein

Tasweroon  Mein Tumhari Adaein Yaad Aati Hein

Tum Jo Kerti Thi Akser Wafa Aur Pyaar Ki Batein

Tumhara Woh Ahad-E-Wafa  Aur  Woh  Batein  Yaad  Aati  Hein

Tumhara Woh Parde Mein Rah Ker Humein Baar Baar Dekhna

Tumhara Woh Dekhna Aur Woh  Ankhein Yaad Aati Hein

Tumhara Woh Unn Rahoon Per Humarey Sath Sath Chalna

Tanha Safer Per Nikalta Hoon To Woh Rahein Yaad Aati  Hein

Faqat Roshan Se Pocho Iss Naye Mohabat Ke Andaaz

Jisey Iss Mohabat Ki Her Woh Anayatein Yaad  Aati  Hein


**********************************************************



Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain,


Kisi mazlom se pocho k “RONA” kis ko kahtay hain,


Kabhi meri jaga khud ko rakho phir “JAAN” jao gay,


K dunya bher k dukh dil main “SIMONA” kis ko kahtay hain,


Meri aankhon meray chehray ko ik din “GHOR” say daikho,


Mager mat puchna “WEERAN” hona kis ko kahtay hain,


Tumhara dil kabhi piglay agar “GHUM” ki hararet se “FARAZ”,


Tumhain malum ho jae ga k “KHONA” kis ko kehtay hain…!



**********************************************************



Bachpan Ka Zamana Hota Tha,


KhushioN Ka Khazana Hota Tha.


Chahat Chaand Ko Paane Ki,

Dil Titli Ka Deewana Hota Tha.

Rone Ki Wajha Na Hoti Thi,

Hasne Ka Bahana Hota Tha.

Khaber Na Thai Kuch Subho Ki,

Na Shamo Ka Thikana Hota Tha.

Daadi Ki Kahani Hoti Thi,

Pariuon Ka Fasana Hota Tha.

Pedho Ki Shakhe Chutey They,

Mitti Ka Khilona Hota Tha.

Gam Ki Zuban Na Hoti Thi,

Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha.

Barish Mein Kagaz Ki Kashti,

Har Mousam Suhana Hota Tha.

Wo Khel Wo Sathi Hotey They,

Na Rishta koi Nibhana Hota Tha.


**********************************************************



Mujh ko Tera Pyar Teri Dosti Achi Lagi.

Teri Nisbat se sada Ye Zindagi Achi Lagi.

Main ne Apne RAB se phir manga Tujhi ko umar bhar.

Teri Aankhon ki Mujhe Dariya Dili Achi Lagi.

Bhaa gayi Muskan Tere Honton ki Teri KAsAM.

Teri Baton ki Mujhe Sanjeedgi Achi Lagi.


Yoon tu GhazLein Bhi Likhi hAin, GeeT Bhi Main ne magar

Jis Main ho BuS TuM hi TuM,
Wo Shaayiri Achi LaAgi.


**********************************************************



“Mere pagal piya mri chahat na kr

,Mjhe daikha na kr mjhe socha na kr

Mri be khawab ankhon ma na janka kr

Ma to kho jao gi mjhe na dhonda kr

Ma hun bad-e-saba jo rukti ni

Ma hun esi ghata jo barasti ni

Ma esi leher hun jis ma halchal na ho

Na tm ko dabo de ye lehrain kahen

Mere pagal piya aisi khawaesh na kr

Ma wo sapna hun jo k sach na ho

Ma wo umeed hun jo ke adhori rhey

Ma wo rasta hun jiski na manzil miley

Ma wo sehraa hun jis ma bhatak jao ge

Mere pagal piya aisay raste na chal

Mere pagal piya mri chahat na kr.



**********************************************************



“Wo meri Qasm leta nahi ilzAAm samajh kar,

“Or dey deta hy apni Qasm inAAm samaj kar,

Wo janta hy mujy us sy kitni Mohabat hy,

Phir bhi Guftogu karta hy anjaan samajh kar.

Mainy usay apny dil ki dharkan main basaya hai.

Or wo dil main rakhta hai mujy mehman samajh kar.

Agar usay hum sy mohabbat nhe to na sahi.

Magar Q ilzam daita hai gumnam smj kr.


Mainy apni sari khushiyan usky nam kr di

Or wo hamain pyar karta hai ehsaan samajh kar.


**********************************************************



“Mohabbat naam hai mera”


“Agar Chaho Gay Tum Mujh Ko”


Tumahri sans se pehly


Tumhari jan ban jaon


“Ager Dekho Gay Tum Mujh Ko”


Tumhari ankh se pehly


Tumhary khuwab ban jaon


“Agar Socho Gay Tum Mujh Ko”


Tumhary Paon Se pehly


Tumhari rah ban jaon


“Mohabbat Naam Hai Mera.


Mujhe TUM Soch k Dekho”



**********************************************************

Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay.

Ye faisala kya hai tujhe dekhne k baad.


Kehte hain tujhse log masiha magar yahan.


Ek shakhs mar gaya hai tujhe dekhne k baad.


Sajdah karon k naqsh-e-qadam chumti rahoon.


Ghar Kaba ban gaya hai tujhe dekhne k baad.


Sajdah karon gi tujhko to kafir kahen gay log.


Ye kon sochta hai tujhe dekhne k baad.


Rehti hai khoi khoi si har waqt ab “Hina”


Ye haal ho gaya hai tujhe dekhne k baad.



**********************************************************



wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay

phir hansata hay wo itna k bhula deta hay

kabi jo ro day to mujko b bhool jata hay

aur phir bhool k mujko b rula dayta hay

us say poochon k bata kis say muhabat hay tumhai?

Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay

khud he kehta hai na dohraon purani yadain

main na dohraon to phir khud he suna deta hay

khud he likhta hai k jazbat main halchal na karo,

aur phir khud he nayee aag laga deta hay


**********************************************************



Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,

Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,

Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,

Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,

Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,

Miloon To Paas Se Chup Chaap Guzer Jate Ho,

Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,

Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..


**********************************************************



bheer may aik ajnabi ka saamna accha laga…

sub se chup ker woh kisi ka dekhna accha laga…

surmae ankhon k neechay phool se khilne lage…

kehte kehte,kisi ka sochna accha laga…

baat to kuch bhi nahi thi laikin uska aik dum…

haath honton per rukh kar rokna accha laga…

dil may kitne ahed baandhe the bhulane k usne….

woh mila to sub irade torna accha laga..

chae may cheeni milana us ghari accha laga…

zare-lub wow muskurata ‘shukriya’ accha laga…

is adae jan ko may bura kaise kahon…

jub bhi aya saamne woh bewafa accha laga…


**********************************************************



Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna

Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna

Kehna k samundar k kinare pe na jaye

Kuch log smundar se bhi hain gehray usay kehna

Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hoti

Darya hi badal lehte hain raasty usay kehna

Kuch log safar k lyie mouzu nahi hote

Kuch raasty kattay nahi Tanha usay kehna

Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona

K basti k sabhi log hain behray usay kehna

phir waqt k maktal me sajhti hain woh aankhein

jo dekhti hain khowaab sunehry usay kehna


**********************************************************



Kash Kabi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mai

Main Rang Deta Tujhe Apne Pyar Mai

Main Itna Pyar Deta Tujhe

Jan-E-Arzoo
Tum Khud Ko Bhula Dete Mere Aitbar Mai

Tum Jo Mujhe Bulate Mulaqat K Liye

Bechain Ho K Phirte Mere Intezar Mai

Main Dair Se Jo Aata Naraz Ho K Tum

Har Baat Ka Jawab Dete Inkar Mai

Tum Jo Rooth Jate Mujh Se Kisi Bat Pe

Main Tumhein Manata Bare Pyar Se


Maan Kar Tum Mujh Se Sirf Ye Kehte

Hai Nahi Koi Kmi “jaan” Tere Pyar Main


**********************************************************



=KYA TUM BHI =

Shaam ki dehleez par

AAS ka deep jalaty ho,


Kisi patty ki ahat par


Darwazy ki taraf bhagy jaty ho,


Kya tum bhi


Dard chupany ki koshish karty karty


OR bila waja muskuraty ho,


=KYA TUM BHI =


Neend se pehly palkon par,


Dhairon khwab sajaty ho,


YA phir bistar par letkar roty roty so jaty ho,


=KYA TUM BHI =


Meri tarhan kisi ko itna toot k chahty ho,,,


=KYA TUM BHI =



**********************************************************



”Ye na samaj k bichra hon to bhol gaya hon tujhe !

”Tare hathon ki khoshbo mare hathon main aaj bhi hai !

”Ye or baat hai majboriyon ne nebhane na di dosti !

”Warna shamil sachai mari wafaon main aaj bhi hai !

”Mohabat say barh kar tum say aaqedat hai mujhay ay dost !

”Yon maqam tera boland sab doston main aaj bhi hai !


”Har lamha zindagi main mohabaten naseeb hon

tujhe !
”Shamil tu mari zindagi ki duaon main aaj bhi hai


**********************************************************



Ab tak na samaj paye mera shor-e-fughaan b

tum log to parh letay ho ankhon ki zuban b

khat is liye shayad mujay ab tum nahi likhtay

kaghaz py utar aaty hen sanson k nishan b

shohrat say faqat is liye aata hay mujay khof

mash’hoor na ho jaye mera zakhm-e-nihaan b

is dard k rishtay me to yksan hen shb-o-roz

jo haal tumhara hay wo aalam hay yahan b


kuch wo b dukhi dil liye aya tha meray pas

kuch dard bhara tha mera andaz-e-bayaan b.


**********************************************************



Tmhare Aane Ki Ik

Aahat Si Hoti Hai

Na Jane Kyün Dil Me

HaLchaL Si Hoti Hai

Tümhe Dekhne Ko

Jee To Chahta He Mgr?

Tmhari Aankhon Me Aksar

Ik Shrarat Si Hoti Hai

Tüm Jo Müsküra K

Müjhe Ik Nazar Dekho

Aesa Lagta Hai Jese

Sehra Me Barish Si Hoti Hai

Tüm Chalo Sath Mere Ümr Bhar K Liye

Tmhe Dekh Kr Aksar

Ye Khwahish Si Hoti Hai

Mere Hatho Ki LakeeRon Me

Ho Shamil Naam Tmhara

Takdeer Se Aksar

Ye Güzarish Si Hoti hai

No comments: