Mar 4, 2012

GHAZALS (2)

mere lafz ki gahrai main aksr kamal uska ta..

ghazal meri thi magar kheyal uska tha..


main shaier to na tha magar usne bena dia..


ankh shrabi hont sagar chehra kammal uska tha..


main kesy maan lon k use mujhe se mohabbat nahi..


bichate waqat meri tarha ajab haal uska tha..


mujhe apne ujar jane se nahi tha sarokar koi..


main afsorda is lieye tha k mijhe malal uska tha..


tanhai main bhi jo use mian na kah saka..


bhari mahfil main kah geyaa yah kammal uska tha..



**********************************************************



Teri \”Chahat\” Me Hum Zamana Bhool Gaye,


Tere Baad Kisi Ko \”Apnana\” Bhool Gaye,


Phir Laga Saara Jahaan \”Veeraan\” Humko,


Jaise Chaman Me \”Phool\” MehKana Bhool Gaye,


Tumse \”Mohobbat\” Hai Ye Bataya Saare Jahaan Ko,


Yehi \”Baat\” Bas Tujhko Batana Bhool Gaye,


Humne Mita Diya Jahaan Bhi Likha Tha \”Naam\” Tera,


Magar Apne \”Dil\” Se Mitana Bhool Gaye,


Woh Juda Hoye Humse \”Muskurate\” Hoe,


Magar Apni Palkon Se \”Aansoo\” Hatana Bhool Gaye…..



**********************************************************



Zara tham tham k barsa kar

abhi itna na rotha kar

Abhi to dur hai manzil

Abhi khud ko na tanha kar

Teri ankhen smandar hen

Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai

Mujhe ase na dekha kr

Hawa mujh se kahe pagal

Na yun raston me betha kar

Wo 1 din chor jaye ga

Usay itna na chaha kar


**********************************************************


Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye

Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam

Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise

Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun

Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye

Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum

Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine

Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat

Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye

**********************************************************


Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,

K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,

Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,

Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,

Shayid mujhe Rona bohut hai,

Tujhe maloom To hoga mere humdum,

Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!

**********************************************************


Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do,

Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do,

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho,

Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do,

Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein,

Mujhey yeh batanay ki ijazat day do,

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra,

Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do,

Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar,

Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do

**********************************************************


Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,

Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se,

Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein,

Koi lamha mera baqi hai ?

Kia uski jaagti aankhon main,

Meri yaad se phaili udasi hai ?

Kia wo bhi meri tarah yun hi,

Shab bhar jaga kerta hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main,

Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata,

Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar,

To hum pal pal kion marte hain ?

**********************************************************


KOI TO HOTA….

mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA…..

jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota

dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA….

**********************************************************


Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu

Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar

Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle

Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”

Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main

Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan

Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe

Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera

Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai

Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey

Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko

Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri

Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri

Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf

Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”

Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

**********************************************************


Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin

duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.

lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main

kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.

dil ki zameen us ki hai banjar issi liye

jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.

her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar

dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.

**********************************************************

No comments: