Dec 16, 2011

Kuch Beete Hue Lamho Se

~~*~~*~~

Kuch Beete Hue Lamho Se Jab Mulaqaat Hui,
Hum Puch Baithe,Itne Tez Kyun Chalte Ho??
Kya Kabhi Kisi Ke Liye Rukh Nahi Sakte?

Woh Lamhe Bhi Bol Uthe,
Insaan Ke Hisaab Se Hum Chal Nahi Sakte
Hum Sirf Waqt Ke Ishaaro Se Hai Guzarte
Hum Jahan Rukh Jaaye,
Woh Hamari Aakhri Raat Hui,
Yuh Samajlo
Main Sirf Waqt Ke Saath-Saath Hui....

Kuch Toote Hue Sapno Se Jab Mulaqaat Hui
Unn Sapno Se Puch Baithe,
Jab Tootna Hi Tha,To In Aankhon Mein
Aate Hi Kyon Ho??
Woh Toote Hue Sapne Bhi Tadap Kar Bole,
Aap Ne Yeh Dekha Ke Main
Tootkar Bikhar Gayi Hoon,
Par Yeh Nahi Dekha Ke Mere Bikharne Se,
Aapki Unn Aankhon Mein Bhi To Barsaat Hui....


Apni Hi Soch Se Jab Mulaqaat Hui
Meri Soch Ne Bhi Mujhse Yeh Keh Diya,
Mujhe Aaj Kalam Par Utaar Do,
Jab Kalam Se Apni Soch Ko Likh Rahi Thi,
Woh Bhi Bol Uthi Shukar Hai,
Main Aap Ke Zehan Se To Ab Azaad Hui....

Aakhir Mein Jab Yaadon Se Mulaqaat Hui,
Yaadein Bhi Bol Uthe,
Tere Bas Mein Na Tere Khud Ke Lamhe The,
Na Tere Sapne The,
Na Hi Teri Soch Thi...
Kabhi Gehraiyon Mein Jaakar Sochna
Zindagi Teri Aaj Kitni Khuli Kitaab Hui.....

Par Main To Yaad Hoon,
Khushi Ke Aangan Mein Aur Gham Ke Mausam Mein Bhi Tera Saath Nibhaungi,

Yuh Samajlo Main Tere Har Kadam Par
Humsafar Bankar Tere Saath Hui.....

~~*~~*~~

No comments: