Kash Hum Tum Bhi Ajnabi Hote
Jis Tarah Or Log Hote Hain
Be-taaruf Se La-taaluq Se
Na Tasaadum Na Bandishain Hoti
Dil Main Chahat Na Khwahishain Hoti
Na Wafaon Ke Silsile Hote
Na Mohabbat Ke Fasle Hote
Phir Na Hoti Shikayatain Tum Se
Youn Na Milti Aziatain Tum Se
Be-qarari Na Be-kali Hoti
Youn Shikista Na Zindagi Hoti
Choor Hota Na Aina Dil Ka
Koi Lamha Na Hota Mushkil Ka
Hum Na Milte Teri Nigaon Se
Na Youn Do Char Hote Aahon Se
Kar Ke Tujh Se Wafa Mila Kya Hai?
Too Ne Ghum K Siwa Dia Kya Hai?
Mujh Ko Un Lamhon Ki Yaad Jo Ayee Hai
Mar Dala Teri Judayee Nai
Ho gaye Ajj Khus Sai Beganey
Kia Ho Anjan Ab Khuda Jane
Tujh Se Pehlay Hum Nahi Roye
Ghum Ki Rahon Me Yun Nahi Khoye
Han Ye Hum Se Hoi Ha Nadani
Humne Surat Teri Na Pehchani
Kash Humtum Bhi Ajnabi Hote
Jis Tarha Or Log Hote Hen.
No comments:
Post a Comment